Quote:
Originally Posted by meera2503 This one is by Mirza Ghalib , I think so?
Dil e nadaan tujhe hua kya hai,
Askhir is dard ki dawa kya hai.
Humko unse wafa ki hai ummeed
jo nahi jaanet wafa kya hai. |
Hi Meera,
Yeas, you r right that its from Ghalib.....I am an ardent fan of him but I don't get many of his wordings, so have to follow dictionary.....
Let me finish all the rest of the song....
dil-e-naadaan tujhe huaa kya hai ?
aakhir is dard kee dawa kya hai
ham hain mushtaaq aur woh bezaar
ya ilaahee ! yeh maajra kya hai ?
main bhee munh mein zabaan rakhta hoon
kaash ! poocho ki "muddaa kya hai" ?
jab ki tujh bin naheen koee maujood
fir ye hangaama, 'ei khuda ! kya hai
ye paree chehara log kaise hain ?
ghamza-o-ishwa-o-'adaa kya hai ?
shikan-e-zulf-e-ambaree kyon hai ?
nigah-e-chashm-e-soorma sa kya hai ?
sabja-o-gul kahaan se aaye hain ?
abr kya cheez hai, hawa kya hai ?
hamko unse wafa ki hai ummeed
jo naheen jaante wafa kya hai
"haan bhala kar tera bhala hoga"
aur darvesh kee sada kya hai ?
jaan tum par nisaar karta hoon
main naheen jaanata duaa kya hai
maiNe maana ki kuchch naheen 'Ghalib'
muft haath aaye to bura kya hai ?
Regards.