Quote:
Originally Posted by Moonbeams Dear Meera, Here s the Talat Aziz ghazal frm UMRAO JAAN... Zindagi jabb bhi teri bazm mein laati hai hamen Ye zamin chaand se behatar nazar aati hai hamen Surkh phulon se mahak uthati hain dil ki rahen Din dhale yun teri aawaz bulaati hai hamen Yaad teri kabhi dastak kabhi saragoshi se Yaat ke pichhale pahar roz jagaati hai hamen Har mulaqat ka anjaam judai kyun hai Ab to har vaqt yahi baat satati hai hamen........ |
Dear Moonbeams,
thanks a ton for sharing the lyrics.....
one of my favourites for you,
Very old one but gold by Talat Mahmood, the veteran singer with a unique voice,
Such beautiful lyrics,
Humse aaya na gaya tumse bulaaya na gaya,
faasla pyaar mein dono se mitaaya na gaya,
humse aaya na gaya...
woh ghadee yaad hai jab tum se mulaqat hui,
ek ishaara hua do haath badhe baat hui,
dekhte dekhte din dhal gaya aur raat hui,
woh sama aaj talak dil se bhulaaya na gaya...
humse aaya na gaya....
kya khabar thi ke mile hain to bichadne ke liye,
kismatein apni banayee hai bighadne ke liye,
pyaar ka bagh lagaaya tha ujadne ke liye,
is tarah ujda ke phir hamse basaaya na gaya,
humse aaya na gaya....
Cheers