4 those who love india sare jahan se achcha hindostan hamar, ham bulbulen hain us ki vuh gulsitan hamar ghurbat men hon agar ham, rahta hai dil vatan men,samjho vuhin hamen bhi dil ho jahan hamara parbat vuh sab se uncha, hamsayah asman ka,vuh santari hamara, vuh pasban hamara godi men khelti hain us ki hazaron nadiyan, gulshan hai jin ke dam se rashk-e janan hamara ay ab-rud-e ganga! vuh din hain yad tujh ko?, utara tire kinare jab karavan hamara mazhab nahin sikhata apas men bair rakhna, hindi hain ham, vatan hai hindostan hamara yunan-o-misr-o-ruma sab mit gae jahan se, ab tak magar hai baqi nam-o-nishan hamara kuchh bat hai kih hasti mitti nahin hamari, sadiyon raha hai dushman daur-e zaman hamara |